140 likes | 554 Views
DAILY LESSON PLAN Topic:- HIKAYAAT-E-SAADI Class :- V Subject :- Urdu Name :- MS . NIGHAT GHAURI Institution :- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IV Date:- 8 th July 2011. TOPIC BACKGROUND. Sheikh SAADI 1184 C.E mien IRAN k shaher Sheeraz mien paida huay.
E N D
DAILY LESSON PLANTopic:-HIKAYAAT-E-SAADIClass:- VSubject:- UrduName:- MS.NIGHAT GHAURIInstitution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IVDate:- 8th July 2011
TOPIC BACKGROUND • Sheikh SAADI 1184 C.E mien IRAN k shaher Sheeraz mien paida huay. • Aap ka asal naam SHARF-UD-DIN, laqab MUSLEYH or takhalus SAADI tha. • Ibtedai taleem SHERAZ mien hasil ki or is k baad mazeed taleem k liye BAGHDAD tashreef lay gaye. • SAAD BIN ZANGI ki munasibat say apna takhalus SAADI rakha. • Sheikh Saadi nay 1291 C.E main Sheeraz main wafat pai.
TASANEEF-E-SAADI i. BOSTAAN-E-SAADI (1257) Ye akhlaqi mozuaat par likhi gayi Nazmoon ka majmua hay jis mien 4000 ashaar shamil hain. Iska asal naam SAADI NAAMA hay. ii. GULISTAN-E-SAADI (1258) Ye nasri tasneef hay jis mien Tassaswuf k mazameen or nasihat amaiz HIKAYAAT shamil hain. iii. QURAN-E-MAJEED ka farsi zaban mien tarjuma. iv. Deegar 20 Tasaneef Arbi or Farsi zaban mien Qasaid, Ghazalyaat, Masnawiyaat, Rubayaat or Qataat shamil hain.
E F F E C T • Farsi adab k bunyadi sutoon jin k baghair farsi adab namukammal hay. • Naamwar adeebon or shairon nay SHEIKH SAADI ki mashoor tasaneef GULISTAN or BOSTAN say mutassir ho kar usi tarz par kitaben likhin magar unhen wo pazirai hasil naa ho saki. • Dunya ki takreeban tamam zabanoon mien SHEIKH SAADI ki tasaneef ka mutadid bar tarjuma kiye ja chuka hay. • Sheikh Saadi Ibne Batootak baad dosrey badey mashraqi sayyah hain.
CONCLUSION • SHEIKH SAADI ki tasaneef ka shumaar dunya k classical adab mien kiya jata hay. • SHEIKH SAADI ki tasaneef ka maqsad mehez shohrat hasil karna naa tha balkay un k peshay nazar asal maqsad ISLAH-E-UMAAT-E-MUSLIMA hay. • Hikayaat mien danishmandi ki aisi baten aam fehem andaz mien bayan ki gayi hain jin mien koi Naseehat ya Peghaam hota hay ya aisa jumla zarur hota hy jo aqwaal ya zarbul misaal ka darja rakhta hay.
A C T I O N P L A NTOPIC:- SHEIKH SAADI (R.A)Name:- MS.NIGHAT GHAURIInstitution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IVSubject:- UrduClass:- V
LONG TERM GOAL • 21st century k taqazoon ko madday nazar rakhtey huay nisab mukammal karvaya jaye ga. • Students dor-e-jadeed k tareeqa-e-tadrees say rooshnaas ho sakain.
SHORT TERM GOAL • Sabaq k hawalay say bachon say mukhtalif andaz mien sawalaat kiye jaen. • Unki zehni silahiyatoon ko ujagar kiya jaye takay wo sawalaat k jawabaat behtar andaz mien day saken. • Inki kaarkardagi ki Hosla afzai ki jaegi takay wo apni maloomaat mien mazeed izafa karnay ki koshish karen. • Sabaq say mutalliq bachon ko Group Discussion ka moqa farham kiya jaey.
INSTRUCTIONAL STRATEGIES Bachon ko urdu zaban ki ahmiyat-o-afadiyat say roshnas karwaya jaey. Zakhira alfaz mien izafa kiya jaey. Sabiqa maloomaat ki madad say unki maloomaat mien mazeed izafa karwaya jaye. Imdadi ashya ko istamal kiya jaey e.g charts/flash cards. Sabaq ki buland khuwani ki jaey.Bachon ko mushkil alfaz k mani samjhaen or talafuz durust karwaen. Sabaq say mutalliqa mashqi sawalaat or qawaid ka tehreri kam mukammal karwaya jaey. Sabaq ka khulasa or revision karwaya jaey.
CHALLENGES a.Mushkil alfaz ki shanakhtor likhny mien bachon ko dushwari pesh a sakti hy. b.Naye sabaq k mutaliq bachon ki maloomat na hony ki bina par unki dilchaspi kum hosakti hy. c.Alfaz k talaffuz ki drust adaeygi mien mushkilat pesh aa sakti hain. SOLUTIONS a.Mushkil alfaz bar bar dhorany or likhwany say unhen alfaz ki pehchan hojaye gi. b.Tasweeron, khakoon or naqshoon ki madad say bachon ki sabaq mien dilchaspi hasil ki ja sakti hy. c.Bachon ki tawajjo hasil karny k liye Sheikh Saadi k dilchasp waqiaat bayan kiye jaen. d.Internet ki madad say wo khud Sheikh Saadi k bary mien assignment tayyar karen. CHALLENGES/SOLUTIONS
* Is week class mien kiya kaam kiya gaya. Sabaq “Hikayat-e-saadi” parhaya gaya. Aap k safarnamon, halat-e-zindagi or shaksiyat k mukhtalif pehluon se aagah kiya gaya. Aap ki chund sabaq aamooz hikayaat yaad karaen gayin. Mushkil alfaz ka imla liya gaya or islah karwayi gayi. Sabaq ka khulasa likhnay k liye diya gaya. * Next week class mien kiya kaam karwaya jayega. Naya sabaq “darkhton ne kaha” parhaya jaey ga. Parents baray-e-meherbani bachon ko darakhton ki ahmiyat-o- afadiyat k bary mien ibtedai maloomat faraham karen. Sheikh Saadi ki 2 Hikayaat nisab k elawa yaad karwa den. CLASS V NEWS LETTERBy:Ms.Nighat Ghauri July 10th,2011
RESOURCES • Internet. • Urdu Encylopedia. • Books:- *Hayat-e-Saadi. (1896) by:- Molana Altaf Hussain Hali. *Hikayaat-e-Gulistan-e-Saadi. by:- Malik Kareem Baksh. *Hikayaat-e-Saadi. by:- Mian Mehboob.