110 likes | 357 Views
Welcome to Al- Baqarah Takmeel Program March 8, 2012 Thursday. KAMYAABI KE TEEN RAAZ Dua , It’aat , Sabr. Presenatation by: Eden Group SabeelulJannah 1432 Urdu Nur Ul Quran International Institiute www.nurulquran.com. Surah Al Baqarah : Aayaat 249-251.
E N D
Welcome to Al-BaqarahTakmeel Program March 8, 2012 Thursday KAMYAABI KE TEEN RAAZ Dua, It’aat, Sabr Presenatation by: Eden Group SabeelulJannah 1432 Urdu Nur Ul Quran International Institiute www.nurulquran.com .
Surah Al Baqarah: Aayaat 249-251 Phir jab taloot lashkaron ke saat nikla is ne kaha : yaqeenan Allah SWT tumhey ek nahar se azmaney wala hai phir jis ne is main se pi liya tou who mujh se nahi Aur jis ne ise na chakha tou yaqeenan who mujh se hai, albatta ye ke koi apney haat se ek chulu bhar le, Phir un main se thodey logon ke siva sabh ne is nahar se pani piya Phir jab us (taloot) ne aur us ke saat jo log imaan laaye they unho ne usey paar karliya Unho ne kaha : Aaj hamarey liye jaloot aur us ke lashkaron se ( muqabley ki) koi taaqat nahi.Lekin jo gumaan rakhtey they ke yakinan who Allah taalah se milney waley hain unho ne kaha: kitni hi choti jamatein Allah Talah ke izan se badi jamaton par ghaalib aagaien! Aur Allah SWT sabr karney walon ke saat hai (249)
Surah Al Baqarah : Aayaat 249 - 251 Aur jab who jaaloot aur us ki faujon ke muqaable par nikley tou unho ne Dua kartey hue kaha : Aye Hamarey Rabb hum par sabar undeil dein aur hamarey khadam jama de aur kafiron ke khilaaf hamari madad farma. (250) Phir unho ne Allah SWT ke izan se un ko shikast di aur Dawood ne jaloot ko qatal kar diya.Aur Allah SWT ne us ko baadshahat aur hikmat ata ki aur use who sikhaya jo who chahta tha Aur agar Allah SWT un main se baaz ko baaz ke zariye na hatata tou zameen fasaad se bhar jaati lekin Allah SWT tamaam jahanon per fazl karney wala hai. (251)
Is Jihad kaTareeqi Pas e manzar Musa(as) ke 300 saalbaad, Shamoel(as) kinabuwatkedauraan, Allah(swt) ne Bani Israel keliyeHz.Talootkounkabaadshahbanaya. Allah(swt) ne Hz. TalootkoJalootauruskelashkaroonkekhilaafjung ka hukumdiya. TALOOT(as) aur un ke lashkar
Deen ke kaam mein aazamaish zaroor hai! Darya-e-Urdan Sabit khadam Nafs ke ghulam Hz Taloot ne apnasabpeechechodkarAllah(swt) kedeenkeliyelashkaronkesaathaagebadhe. Hz Taloot ne apne lashkar se kaha,” jis ne is naher ka paani piya, woh mera saathi nahi. Thoda chullu bhar peele to koi baat nahi”. Kuch aadmiyon ne khoob paani pia aur aazmaish mein poore na utar paaye Bas kuch hi log sabr, pukhta imaan aur ameer ki ita’at karne waale the.
Aazmaish ke Baad Khara Khota Saaf Zahir Nafs ke ghulam Is aazmaish se sab ke imaan ka me’yaar saamne aagaya. Jin mein khuwat-e-irada na tha, un ko dushman taqatwar laga aur ye jung ladne se peeche ho gaye. Dua sabireen ki sabit khadam Sabireen ko yaqeen tha ke Allah(swt) ki madad unke saath hai. Woh jung ke liye tayyaar the. Ye Allahswt ke raaste mein khurbaaniyon ke liye tayyar the. “Aye parwardigaar hum par sabrkedahaanekholdeaurhumein(ladaimein) sabitkhadamrakhaur (lashkar-e-) kuffaar par fathayaabkar”
Sabr aur Isteqamat ka Badla Jaloot kafiroon ka sardaar Dawood(as) (naboowat se pehle) lashkar ke ek kamsin sipaahi the. Hz Taloot aur unka lashkar kamyaab hogaya. Dawood(as) jo lashkar ke ek kamsin sipaahi the, unhone Jaloot ko khatam kiya. Allah(swt) ne Hz Dawood(as) ko NABUWAT,BADSHAAHAT,HIKMAT, aur ILM diya
Amal Kya main apnawaqt, jaan, maal o aulaad Allah(swt) kiraahmeinlagaatihoon? Kya main Allah(swt) keliyejihad kartihoon? Kya main aazmaaishmeinsabrkarsaktihoon? Kya main leader kiita’atkartihoon? Kya main duakarnemeinhareeshoon? Kyamaiiekachchirehnumabansaktihoon? Kya main Allah(swt) kiaazmaaishaurqadr par yaqeenaursabrrakhtihoon? SELF CHECK : Kyamaiamalkartihun??
Eden sisters ne in ayatoon ki roshni mein ye seekha hai … Insha’ Allah mujheaazmaishonkihikmatsamajhnekikoshishkarte hue Allah(swt) kiraahmeinsabitqadamrehnahai.