170 likes | 530 Views
Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program . LUQMAN KI NASIHATEIN (Surah Luqman 13-19). بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ . Salsabeel Group.
E N D
Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program LUQMAN KI NASIHATEIN(Surah Luqman 13-19) بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ Salsabeel Group
(13)وَإِذۡ قَالَ لُقۡمَـٰنُ لِٱبۡنِهِۦ وَهُوَ يَعِظُهُ ۥ يَـٰبُنَىَّ لَا تُشۡرِكۡ بِٱللَّهِۖ إِنَّ ٱلشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ عَظِيمٌ۬Allah ke sath shirk na kerna, shirk tou bada zulm hai Tashreeh: Shirk- Khaliq ko makhluq se milana. 3 tarah ka hota hai: • Aluhiyat mai shirk: Allah ke alawa dusron se dua,madad mangna. • Asma o sifaat may shirk: Allah ke naam dusron keliye rakhna ya sifaat e Ilaahi ko makhluq may rakhna. • Rabubiyat mai shirk: zameeno asmaan ka Khaliq Allah ke alawa kisi aur ko banalena.
Amal Shirk - buhatbada zulm hai agar shirk par maot - hameshagikijahannum SachchiTouba - Allah Gafoorur Raheem hai Apnay bachchon ko Allah se jodna hai Shirk se bachana hai aur shirk aurusske zariyon se bachana hai Allah ki Asma o sifaat se ma’arifat karani hai
وَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ (14)أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِيرُ Aur hum ne inasan ko uss ke maa baap ke muttaliq takeed ki hai k jiss tarha Maa takleef utha ker bachchey ko apnay pait mai rakhti hai aur janam deti hai. Phir usko dou saal tak dudh pilati hai. Allah ka shuker kerta reh aur apnay maa baap ka bhi. Ke tum ko Allah hi ki taraf laut ker ana hai َ Tashreeh:PehleHuqooq e Allah se waqif kia aur ab huqooq ul ibaad se waqfiat ki jarahihai **** kaha jata hai ke yeh Allah ki taraf se hukum hai , Luqman hakeem ki naseehat nahi ****
لا اله الا الله وحده لا شريك له، له الملك وله الحمد، وهو على كل شيء قدير la ilaha ila Allah wahdahu la sharika lah, lahu al-mulk wa lahu al-hamd, wa huwa `ala kulli shay’in qadir
وَإِن جَـٰهَدَاكَ عَلَىٰٓ أَن تُشۡرِكَ بِى مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٌ۬ فَلَا تُطِعۡهُمَاۖ وَصَاحِبۡهُمَا فِى ٱلدُّنۡيَا مَعۡرُوفً۬اۖ وَٱتَّبِعۡ سَبِيلَ مَنۡ أَنَابَ إِلَىَّۚ ثُمَّ إِلَىَّ مَرۡجِعُكُمۡ (15)فَأُنَبِّئُڪُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ Agay farmaya ke agar maa baap aulad per zor daalein ke tu merey sath kisi aisi cheez ko shareek kerey jiska tujhay kuch bhi ilm nahi to unka kaha na maanna. Haan duniya ke kaamo mai in ka achi tarah sath dena aur jo shaks meri taraf ruju Kerley uskay rastay per chalna. Phir tumko meri taraf laut ker ana hai. Jo kuch tum kertey rahay ho uss se phir mai tumko agaah kerdunga. Tashreeh:Kaha na manna se muradbattamizinahibulkeunke shirk kerne k dabodaleinkebawajooddeenpr qayemrahna hai. Agar tum islam qubool kerlo ya shaori musalman ban jao aur maa baap abhi kufr pr hon yariwajimusalman hon tab bhi tum unki khidmat kerte rahna.
Hz Sa’adbin abi Waqas rz farmatay hain ke yeh ayat merey liye utri. Mai apni maa ka buhat farmanbardaar tha, magar merey Islam lanay per meri maa ne bhookhartaalshurukerdi. Do din faqay mai guzray to mainay kaha ke agar teri ek jaan ke badlaysaubhi hotein to bhi mai Islam se nahi phirtaIs baat per unhoun ney bhook hartaalchodi. Hadith: Nabi saw se Kabair ke mutaliq daryaft kiya gaya tou aap ne fermaya k allah ke sath shareek banana aur maa baap ki nafermani kerna, kisi admi ka qatal kerna aur jhoti gawahi dena.(sahi bukhari:2473) Maa Baap ke Liye ki jane wali bahtreen Dua: رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Rabbir hamhuma kama Rabbayani Sagheera (Al-Isra:27) Aye Mere Rabb Jiss Tarha Unhon ne Mujhe Bachpan se Pala Ussi Tarha Tu bi Unn pr Raham Ferma.
Amal • Makhlooq ki farmanbardaari mai Khaliq ki nafarmani nahi kerni • Maa baap ki khidmat kerni hai ibadat nahi • Duniyawi kaamo mai unka sath dena hai aur kehna maanna hai magar jahan Allah ki nafarmani ki baat aye wahan nahi maanni • Allah ki taraf lautnay ka khauf rakhna hai kewohsub kaamo se baa khabar hai
يَا بُنَيَّ إِنَّهَا إِن تَكُ مِثْقَالَ حَبَّةٍ مِّنْ خَرْدَلٍ فَتَكُن فِي صَخْرَةٍ أَوْ فِي (16)السَّمَاوَاتِ أَوْ فِي الْأَرْضِ يَأْتِ بِهَا اللَّـهُ ۚ إِنَّ اللَّـهَ لَطِيفٌ خَبِيرٌ Luqman hakeem ne ek raaey ke danay ki misal deker apnay betey ko samjhaya ke itna sa daana bhi agar kisi pathar mai, ya asmano mai ya zameen mai chupa hua ho to Allah usko qayamat ke din laamaujud kerdeyga. Kuch shak nahi ke Allah Bareek been hai Khabardaar hai. Tashreeh:Raaeykedanekimissal – Raayekadanabahutchotajisskawazantoul may mahsoosnahotaaurnatarazookepadle ko jhukasakta hai Allah ussebhidekhta hai. Allah Al-Lateef hai. Hadees : “agar tum may se koi shaksbesuraakhkepathar may bhiamalkaregajiska koi darwazayakhidkina ho’ Allah ussebhizahirkerdega ,chahewokaisahi amal ho” (Musnade Ahmed 3/28) Andheri ratt may chalneywalichoontikiharkat se bhiAllah bakhabarhai.
AMAL • Apnay bachchon ko misal deyker samjhana chahiye ke unhe baatzahen-nasheen hojaye • Allah ke Khabardaar aur Bareek been honay ka ehsaas insaan ko gunah se rokta hai. Iska ehsaas apnay bachon ko dilayajaayetakaybachay maa baap se chupker bhighalatkaam nakerein. • Is cheez ka bhi ehsaas dilana ke Allah humaray her amalko chaheywohraaey ke dana ke barabar ho qayamat ke din samnay ley ayega.
يَا بُنَيَّ أَقِمِ الصَّلَاةَ • Luqman hakeem ne phir se apnay betey ko pyar se bula ker kaha, ke namaz ki pabandi kerna • Pehlay Allah ka khauf dilayaaursamjhaya ke Allah her amal ko dekh raha hai. Phir namaz ki baat ki takay betey ko namazchodnaymai yeh ehsas rahey ke Allah isko qayamat ke din samnay ley ayega. • Pehlay bachchon ke eemaan kijaddmazbuth kerein phir faraaiz ki naseehat kerein • Jo shaks din mai panch waqt Allah ke samnay hazir hoga, usko haq baat kehnay ki himmat ayegi. Woh logo kighalatbaaton per unko zarur rokeyga. • Namaz insaan ko buraayon se bachati hai. Namaz ke zariye insaan ka Allah se gehra taaluq banta hai. Amal
Jab tak namaz ki pabandi nahi hogi, Amar bilMaarufaurNahianilMunkarnahi hosakta. Luqman apnay betey ko leadership quality sikharahe hain. Jo bacha bachpan se hi trained hoga who baad mai ijatmai kaam kersakeyga. Hadith: Nabi saw: Meri Ankhon ki Thandak Namaz Hai. يَا بُنَيَّ أَقِمِ الصَّلَاةَ وَأْمُرْ بِالْمَعْرُوفِ وَانْهَ عَنِ الْمُنكَرِ وَاصْبِرْ عَلَىٰ مَا أَصَابَكَ ۖ (17)إِنَّ ذَٰلِكَ مِنْ عَزْمِ الْأُمُورِ Aur Luqman hakeem ne kahakelogo ko achay kaam kernay ka mushwara detey rehna aur buri baaton se mana kertey rehna. Phirfarmayake jo musibat tujh per aye us per sabar kerna. Beshak ye badi himmat ke kaam hain.
Jab Amar bilMaarufaurNahianilMukarkeringay to mukhalfat zarur hogi. Log bura maaneingay aur mushkilaat bhi daal saktay hain. Isliye pehlay hi naseehat kerdi ke sabar se kaam lena, kamzor mat pedna. Sabar kemaani hain saabit qadmi. عَزْمAzm” keMaanihain: 1. kisi kaamkeliyepukhta irada kerlena. 2. milayhoyeahkamat ko anjam dene keliyeaurunn par jamnekeliyejohimmatchahiye. 3. Allah keqatai hukumko manna Hadees e Nabwi saw kakhulasa: Momindou tarah ke hotayhain1. dheelay dhalay 2. mazbuth. Allah ko donu pasand hain magar mazbuth ziyada mehboobhain Luqman hakeem apnay betey ko mazbuth momin banana chahtay they.
AMAL • Bachchon ko pehlay se khatray ke baray mai agaah kerkay naseehat kernichahiye • Apnay bachon ko mazbuth momin bananay ki koshish kernichahiye تُصَعِّرْ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمْشِ فِي الْأَرْضِ مَرَحًا ۖ إِنَّ اللَّـهَ لَا يُحِبُّ (18) كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُورٍ takkabur kertey hue logo ke samnay gaal na phulana aur zameen mai akad ker mat chalna. Isliye ke Allah kisi itranay walay shekhi khoray ko pasand nahi kerta. صَعِّرSa’ir : uont ki ek bimari jis se uski gardantedhihojatihai - muradhai wohshaks jo takkabur aurghururki wajah se logo se رُخrukhpher ley. مَرَحًاMaraha: 1. haya aur sharam ki chadar ko utaar phainkna 2. akarna, shiddat e farah 3. who nishat jis mai halka pan aur sabqi paayi jaaey.
فَخُورٍFas tareekay se akad ker chalna ke dusron ko lagay ke who is kay samnay haqeer hain. مُخْتَالMukhtal: joghareebrishtaydaaron ko pasand na kerey, itranay wala. لِلنَّاس Logon se muradghareebrishtaydar, maa baap, kamzor log wagera. A M A L • Pehlay Allah se taaluq joda, phir maa baap se, phir faraaiz ki ehmiat yaad dilatay hue ijtamai zimedari ki bhi naseehat ki, aur ab ikhlaqi tarbiyat ki jarahi hai. Isi tarteebse bachon ko sikhanachahiye. • Amr bilMaarufaurNahianilMunkarkeliye achay ikhlaq aur ajizi zaruri hai.
(19)وَاقْصِدْ فِي مَشْيِكَ وَاغْضُضْ مِن صَوْتِكَ ۚ إِنَّ أَنكَرَ الْأَصْوَاتِ لَصَوْتُ الْحَمِيرِ Apni chaal mai etadaal kiye rehna aur boltay waqt zara neechi awaz rakhna. Unchi awaz ko gadhay ki awaz se tashbih di aur kaha sub se buri awaz gadhay ki hoti hai. Darmayana chaal chalnay ka hukum diya gaya. Nabi saw ke ikhlaq mai narmi thi, tabiyat sakht na thi, Aap saw na shor kertey, na Aap saw fauhashgo the. Jo cheez dil ko na bhaati us mai nuqs na nikaltay balkay us se ghaflatbarattay, magar dusron ko naa umeed bhi na kertey. Aap saw ne 3 cheezeinchodrakhi thein 1. jhagda2. takkabur 3. jo kaam kiya na ho us mai napadna. (Riwayat) AMAL • Apnay bachchon ko misal deker samjhanachahiye. • Chaal aur dhaal achay rakhnay ki bhi naseehat kerna chaye kyon ki momin apni chaal dhaal se pehchanajaatahai.