90 likes | 297 Views
D.A Public School O And A Levels. By Nasreen Rizvi JUMLA SAZI URDU . Taweel Mudatti Maqasid. 21 st sadi k tareqae taleem ko apnana take hum urdu me tulba ki dilchaspi ko barha sakein . Mukhtasir Mudat K Maqasid.
E N D
D.A Public School O And A Levels By Nasreen Rizvi JUMLA SAZI URDU
Taweel Mudatti Maqasid • 21st sadi k tareqae taleem ko apnana take hum urdu me tulba ki dilchaspi ko barha sakein
Mukhtasir Mudat K Maqasid • Pehle sawalat karne k tareqae kar me tabdeli lana take tulba apni zehni salahiyet ka zyada istemal karsake. • Zyada tawaja tulba ki hosla afzai par di jae banisbat unki tareef k. • Tulba apni zehni salahiyet ko istemal karte hoe mukhtalif iqsam k jawab dein bajae rate ratae jawab k. • Tulba k mil jul k kam karne ki hosla afzai karein. • Madad k lea tulba ko ye samjhana hoga k woh dosre wasail k istemal ki bajae aik dosre ka istemal karsakte hain.
Instructional Hiqmat-e-Amli • Tulba ko zyada se zyada mawaqe farham karna k wo sawalat k jawabat de sakein. • Tulba ko aik sat bait kar bat cheet ka moqa farham karna take wo behtar nateja ya kam peesh karsakein. • Bat ki wazahat tulba k samne is tarhan karna k woh apne zehain par zor de kar nae sawalat kar sakein.
Pash-e-nazar masael aur unka hal Masael Hal • Hum mil bait kar bat cheet kar k is bat ko hal karsakte hain. • waldein ko ye bat samaj ae gi k unke bachon par kitbon ka boojh kam hojae ga. • Ghar ane wali worksheets k zarie woh bhi har kam me shareek hosakein ge. • Jab hum intezamia ko koi naya tareka paish karte hain to woh etraz karte hain. • Waldein ko nae tarekae tameel se agha karna. • Unhe batana k jo kaam ghar bheja gya hai woh jamat me karae gae us din k kaam se mutaleq hai.
Khabar ka namona Mohtaram waldein, Asalamualaikum. Is khat k zarae apko zarae tameel k nae tarekae kar se mutarif karaya jaraha hai k hum is saal ki ibtadae se 21st saadi k nuktae nazar ko madde nazar e rakhte hoe tulba ko parhaeinge take woh zyada dilchaspi se apni parhai karsakein . Is tarekae kar ko kamiyab banane k lea hume apka tawon darkar hai. Umeed hai k ap is kawish me humare saat honge. Shukria, Intezamiya, D.A Public School O & A Levels.
Waqt Ki Lakeer • 2nd week 4th week • 1st week 3rd week 5th week Galat jumlon ko durust karna Jumla sazi aur uski sakht Jumlon ki madad se iarat arrie Jumlon ki sahi banawat Jumlon me munasib alfaz ka istemal
Wasail • Dosri asateza jo isi mazmoon aur jamat ko parhate hoon • Qutub • Kahani ki kitabein • Internet • Worksheets