1 / 7

Takmeel of Surah Ale Imran Presentation 2 nd May 2012 Ayat 14 Theme:

With The Name of Allah Most Gracious Most Merciful. Takmeel of Surah Ale Imran Presentation 2 nd May 2012 Ayat 14 Theme: Khuaishaat ki cheezein Azmaaish. Presentation By: Salsabeel Group Humaira Madni NQSJ_056 Sarina Shamayal NQSJ_037.

pia
Download Presentation

Takmeel of Surah Ale Imran Presentation 2 nd May 2012 Ayat 14 Theme:

An Image/Link below is provided (as is) to download presentation Download Policy: Content on the Website is provided to you AS IS for your information and personal use and may not be sold / licensed / shared on other websites without getting consent from its author. Content is provided to you AS IS for your information and personal use only. Download presentation by click this link. While downloading, if for some reason you are not able to download a presentation, the publisher may have deleted the file from their server. During download, if you can't get a presentation, the file might be deleted by the publisher.

E N D

Presentation Transcript


  1. With The Name of Allah Most Gracious Most Merciful Takmeel of Surah Ale Imran Presentation 2nd May 2012 Ayat 14 Theme: Khuaishaat ki cheezein Azmaaish Presentation By: Salsabeel Group Humaira Madni NQSJ_056 Sarina Shamayal NQSJ_037

  2. زيِّنَ لِلنَّاسِ حُبُّ الشَّهَوَاتِ مِنَ النِّسَاءِ وَالْبَنِينَ وَالْقَنَاطِيرِ الْمُقَنْطَرَةِ مِنَ الذَّهَبِ وَالْفِضَّةِ وَالْخَيْلِ الْمُسَوَّمَةِ وَالْأَنْعَامِ  وَالْحَرْثِ ۗ ذَٰلِكَ مَتَاعُ الْحَيَاةِ الدُّنْيَا ۖ وَاللَّهُ عِنْدَهُ حُسْنُ الْمَآبِ (Surah Ale Imran:14)

  3. Logon ko in kii Khuaaishon kii cheezein yani AURATEINBETAYSONAY CHANDI KE BAREY BAREY DHERNISHAAN LAGE HUE GHORAYMAVESHIAUR KHETI BAARRI Barri Zeenat Daar maaloom hotihein magar ye sub Duniya hi kii Zindagi ke Saamaan heinAur Allah ke Paas Buhat Acha Thikana hai. (Surah Ale Imran:14)

  4. SHAAN E NUZOOLJang e Badr mai bay sarro saamaan musalmaan kafiron per hawi hue. Bagair kisi asbaab ke Allah ne un ko kaafiron per fataah di jabke kafir her tarah ke saazo saamaan yani 1000 fauji, ghoray, auraton ke baawjud shikast kha ker wapis laut gaye.Ye sub Khuaaishaat ki Cheezein, yani AURATEIN, AULAD, GHORAY, MAVESHI, SONA, CHANDI AUR KHETI BAARI duniya ki Azmaaish hain. Allah ne Insaan ke dil mai in cheezon keliye muhabbat daal dii kyonke:1. Duniya ka kaarwaan chalta rahe2. Allah in cheezon kii muhabbat ka maza chakha ker Akhirat ki beshumaar naimaton ki ragbat dilana chahta hai3. Aazmaaish keliye. Surah Khaf:7 mai ata hai," Hum ne zameen per jo kuch hai, ise zameen ki zeenat banaya hai, takey hum logo ko aazmaaein "4. Shukar guzari dilane keliye5. Akhirat kii naimaton ko paaney ka zariya in cheezon ko bana dia, yani jitna in cheezon ke fitnay se bachtey raheinge utna naikiyon se kareeb hotay jayeinge.

  5. SABAK Duniya ki muhabbat her burai kaa sarchashma hai. Pehlay darjay per Aurat aur dusray per Aulaad hein, kyon ke ziyada ter mard kii kamai biwi bachon per lagti hai. Haq ki baat kerney mai insaan kii khuaaishaat beech mai aati hain, phir ek woh hai jo in sub khuaaishaat ke fitnay se buch ker Allah ki raah mai chal perta hai aur dusra woh jo nafs parasti mai ghira rehta hai aur duniya mai kho ker Akhirat ko bhool jata hai.  Allah ne Adal ka aur beech ka raasta bata dia. Jo muhabbat Allah ne insaan ki dil mai in khuaaishaat ki cheezon ki daali woh etadaal mai rahe to jaaiz hai magar hudd se barh jaane lage to shaitan ke raaste per chali jati hai aur Allah ke Kaanoon ko tornay lagti hai. Surah Ale imranayat 92 mai atta hai " Hargiz naa paunchogaytum naiki ko jabtaktum un cheezon mai se jo tumheinaziz hein (raah e Khuda) mai kharchkero, aur jo cheeztumkharchkerogay Allah is ko jaanta hai " 

  6. AMAL KI BAAT JO HUM NE SEEKHEIN • Shamayal: • Jo insaan sache dil se imaan le aata hai woh hakeekat me Allah ke deen ke liye kuch bhi karega. • Is ayah ki raushni me hum Islam mein maal ke nazriye ko dekh sakte hai • Agar is dunya me kamyaab hona chahte hai to asbaab par bharosa kiye bagair Allah ke raaste me nikalna hoga. • Ye ayah hum sab ke liye behtareen aaina hai. • Humaira: • Duniya ki Khuaaishaat ko mayana ravi mai reh ker istamal kerna hai. • Akhirat ki tayari per dhiyaan dena hai kyonke wahan is se behter thikaana hai.

  7. Allah ta'la farmatay hain, In sub cheezon mai kho ker mat reh jaana aur Allah ki yaad se gaafil naa hojaana kyonke Allah ke paas Akhirat mai is se behtreen thikaanaa hai yani Jannat kii ragbat dilaai jarahi hai. Naik kaam kernay walon keliye kai jaga Allah jannat kii khushkhabri detey hain. Surah Ale Imran: 15 mai aataa hai' " un keliye khuda ke yahan baagaat hai, jin ke neeche nehrein beh rahi hain, in mai woh hamesha raheinge, aur paakeeza auratein hain aur sub se barh ker Khuda ki khushnudi, aur Khuda apnay naik bandon ko dekh raha hai." JAZAK ALLAHU KHAIR

More Related