130 likes | 716 Views
Jaga jee lagane ki.......dunya nahi hai! Ye ibrat ki jaa hai........tamasha nahi hai!!. Jahan mein hain ibrat ke!........har suu namuney! Magar tujhko andha kia.......rang buu ney!. Kabhi ghor se bhi yeh.....dekha hai tu ney!! Jo maamoor the........woh mehel ab hain sooney!!.
E N D
Jaga jee lagane ki.......dunya nahi hai! Ye ibrat ki jaa hai........tamasha nahi hai!!
Jahan mein hain ibrat ke!........har suu namuney! Magar tujhko andha kia.......rang buu ney!
Kabhi ghor se bhi yeh.....dekha hai tu ney!! Jo maamoor the........woh mehel ab hain sooney!!
Jaga jee lagane ki.......dunya nahi hai! Ye ibrat ki jaa hai........tamasha nahi hai!!
Miley khaak mein........ehl-e-shaan kaise kaise!! Makeen hogaye........la makaan kaise kaise!!
Hoye naamwar........benishaan kaise kaise!! zameen kha gayi.....naujawan kaise kaise!!
Jaga jee lagane ki.......dunya nahi hai! Ye ibrat ki jaa hai........tamasha nahi hai!!
Ajal ne na kis rahi.......chora na daara! Issi se sikander sa........fateh bhi haara!!
Har ek chor ke......kia kia hasrat sidhara! para reh gaya.....sab yahin thaat saara!
Tujhe pehle.....bachpan ne barso khilaya! Jawani phir tujhko.......majnoo banaya! Bhurapey ne phir.......aa key kia kia sataya! Ajal tera kar degi.......bilkul safaya!
Yehi tujhko dhunn hai........rahoon sab se baala!! Ho zeenat nirali.........ho fashion nirala! Jiya karta hai kia.......yun hi marne wala! Tujhe husn-e-zahir ne.........dhoke mein daala!
Woh hai aish-o-ishrat ka.....koi mehel bhi! Jahan taak mein khari.......ho ajal bhi! Bus ab iss jahalat se........tu nikal bhi!! Ye tarz-e-maishat.......ab apna badal bhi!!
Ye dunya-e-faani hai mehboob tujhko!! Hoyi wah kia cheez marghoob tujhko! Nahi aqal itni bhi marzoob tujhko! Samajh lena ab chahiye khoob tujhko!! Jaga jee lagane ki.......dunya nahi hai! Ye ibrat ki jaa hai........tamasha nahi hai!!